Tuesday, 28 February 2012

KHUSHI..

Kya sirf hasne ka naam hi khushi hai,,, 
Kyunki khush to hum tab bhi hote hai jab humari aankhon mein aansu hote hain...
Aaj meri aankhon mein ek bhi aansu nahi hai,,
Chehre pe sirf muskaan hai...
LEkin kya main sach mein khush hun??????
Shayad nahi,, kyunki is jhuti muskaan se acche vo sacche aansu the,,
Jo teri baahon mein nikle the...

Monday, 27 February 2012

CHAAHAT..

Teri chahat mein kuch is kadar kho gaye the hum,, ki khud ko hi bhula baithe the..
Aaj tu nahi hai,,, na teri baaton ka silsila hai,,
Na hi teri baahon ka sahara hai,,,
Or na hi teri pyaari si muskurahat hai,,,
Hai to bas har taraf khamoshi ka saaya...
Ek asi khamoshi jisme sirf mere shabdon ki hi awaz hai..
Kya sahi hai or kya galat,,, shayad isse abhi anjaan hun main...
Tumse jabse dur huyi hun,,, khud se hi begaani ho gayi hun..
Kuch pal jab doston ke saath hoti hun to khush rehti hun,,,
PAr tanhaai mein sirf tumhari yaadon ka sahaara hai...
Pyaar mein yun dard sehna ab gawara nahi hai,,,
Socha ki bhul jaun tumhe,, paar ye bhi mumkin na ho saka...
Kisi or ke daaman mein chupke jab rona chaha,,,
tab bi dil ka dard kam na ho saka kyunki,,,
hamari aankhon ki nami ko to sirf aap hi padh sakte  the...
Ab to hum khud is kaabil nahi ki apne dard ko kam kar sakein...

Saturday, 25 February 2012

Yun to tere bina bhi ji rahe hain hum,,,
Par sirf jeena hi to zindagi nahi...
Zindagi to unhi pal mein ji li,, jo tere saath bitaye..
Ab to bas saanson ka lihaaz karte hain,,
Warna hum to kab ka mar chuke hain...
"HEART" N "HURT"....
Two words with a very slight difference..
But the fact that One gets "hurt" only because of "the heart"

Monday, 20 February 2012

TERI YAAD MEIN...


ये कैसा एहसास है की तू दूर होकर भी मेरे सबसे करीब है,,,,
तेरी कमी भी है,,, तेरा साथ भी है,,
दिल में दर्द भी है,,, प्यास भी है..
आँखों में नमी भी है,, होटों पे मुस्कान भी है....
कशमकश है ये कैसी तेरी चाहत भी है,,, ????????????

Sunday, 12 February 2012

LIFE CAN ONLY BE FAITHFUL TO THOSE WHO ARE TRUE TO THEMSELVES...

FIND YOURSELF..

To find out Ur true inner self,, is like finding out a pearl from the ocean..
Although it takes time,, but is worth finding...

Friday, 10 February 2012

khamoshi..

Tu jab yun dur gaya,, zindagi mein tanhaayi chaa gayi..
Dard to dil mein bahut tha,, lekin phir bi hum khush the,,
Shayad tere laut ke aa jane ki ummed thi is dil mein,,
PAr ab na vo ummed hai na hi koi asraa..
BAs har taraf khamoshiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii hai...



TANHA DIL!!!

Phir se din dhal gaya teri yaadon ke sahare,,
Phir ye sham aa gai...
Kat jaegi ye raat bhi yunhi tanhai mein,,
Jiye ja rahe hain yunhi teri judaai mein...

GOOD MORNING..

BEGINNING OF A NEW DAY WITH NEW PLANS IN MIND AND NEW HOPES..
NEW DREAMS AND NEW STRATEGIES..
WITH BEST WISHES OF LOVED ONES..




ALL THE BEST TO ME..



GOOD MORNING..

Tuesday, 7 February 2012

TUM..

Tumse milne se pehle bhi jeete the hum,,
Tumhare jaane ke baad bhi ji rahe hain..
Farq sirf itna hai ki jab tumthe to tanhai mein bhi mehfil nazar aati thi,,
Aaj jab tum nahi ho to mehfil mein bhi tanhai cha jati hai...
Zakham dene wale to bahut mile zindagi mein,,
Par jise dekhar hoton pe muskaan aa jaye aisa sirf ek hi hai..
Lekin hamare naseeb mein shayad khushi likhi hi nahi hai,,
Islye to hum us ek insaan ko bhi gawa baithe..

THE ONLY “GOOD” I COULD DO TO MYSELF IS,,, TO BE ABLE TO LIVE THE WAY I LIKE…

Sunday, 5 February 2012

TAHAAYEE...

Kuch is kadar tanhai chayee hai,, ki na kisi ke aane ki khushi hoti hai na hi kisi ke jaane ka gum..
Kabhie ehsaas kuch dil ko hota hai yun,, ki kahin koi hai jo hume khush dekhna chahta hai,,
Par kahan hai wo kabhie nazar nahi aata..
Dil ki is veeran basti mein, yun to dastak koi or bhi deta hai,,,
Par hum hi na jaane kyu is basti ko abaad karne se katraate hain,,
Shayad ab dil ki tanhai mein hi hume mehfil nazar aane lagi hai..

Saturday, 4 February 2012

THE TRUTH..

Pehle kkuch log the ase jinhe main apna dushman bulati thi,,
Par aaj ek choti si baat bahut bada sabak sikha gai..
Agar dushman hain bhi life mein to bbhi usme hamari hi galti hoti hai,,
Zaroor humne hi unhe itni himmat di hogi ki wo hamari hi peeth mein chura daag sakein..
Insaan ki life mein jitna bhi bura hota hai,, sab uski galtiyon ki wajah se..
Bas khud ko santusht karne ke lie,, hum hamesha dosh dusron pe mad dete hain..