Monday, 22 October 2012

Taqdeer ke bharose zindagi bitane walon mein se hum nahi,
Hum to unme se hain jinke lie unka karm hi unki taqdeer hota hai,,
Koi ise hamara gurur samjhe to kya gam hai,,,
Is duniya mein aksar logon ko khud ki jeet se zyaada, dusron ki haar ki parwah rehti hai!!!
Jahn bhi main jaun tujhe hi bas paun,
 Tere hi khayalon mein aksar ye raatein bitaun,
 Har lamhe mein jo guzre hue pal yaad aaye,
 Bas unhi yaadon mein apne din raat baitau!!!

Sunday, 21 October 2012

BAS TU HI TU!!!

Tujhe jo paaya to ye bedard zindagi bhi apni si lagti hai,
Ye anjaani raahein bhi jaani pehchani si lagti hain,,
Ye dard bhari raatein, ab haseen si lagti hain,,,
Or ab to yun hai ki,, zamaane ki kadwi baatein bhi buri nahi lagti...

Saturday, 20 October 2012

ये तेरी यादें!!!

आज फिर तेरी यादों ने इस दिल को तड़पाया है,
मेरी इन सूनी आँखों में एक चाहत का लम्हा सजाया है,,
दर्द में भी जो मुझको मुस्कुराने पे मजबूर कर गयी,,
कुछ इस तरह तेरी यादों ने मुझपे जादू चलाया है।।।

Thursday, 18 October 2012

Kuch ehsaas bilkul us tarah hi sach hote hain,
Jitna ki ye ki saanson ke bina hamari zindagi nahi chal sakti,,
Or vo sach ye hai ki meri zindagi mein shayd meri saanson se bhi zyaada mere dost maynae rakhte hain,,
Jinke bina I m nothing..
Just wanted to say I love u guys..
N need you forever..
Be in touch always..


Wednesday, 17 October 2012

Kaise ek sandesh ke chand shabdon mein, is dil mein dabi apne har jazbaat ka izhaar kar dein,,
Hume do hi lafzon mein apni mohabbat ko bayaan karna nahi aata,,
Warna kabka keh dia hota ki hume mohabbat hai apse,
Tab shayad apko ye shiqayat na hoti humse, ki hum aapki baaton ka jawaab nahi dete..

Tuesday, 16 October 2012

Tujhse mile na the jab hum,
To na jaane kitne chehre khud hi apne khayalon mein banate rehte the,,
Pehli baar jab tujhe dekha to laga ki to ye hai vo stupid,,,
Or ab vo stupid sa chehra hi in aankhon mein kuch is kadar sama gaya hai,
Ki koi or chehra in nazroon mein aata hi nahi,
Bas ek baar phir se nazar aa jaye wahi chehra, usi ek pal ke intezaar mein ye din bita rahe hain!!!

Alvida!!!

Dard-e-mohabbat mein ye din aaj aaya hai, 
Khoye rehte the din raat hum uski yaadon mein,,
Aaj use bhi ye samjah mein aaya hai,
Ab to vo bhi rooyegi toot ke mere janaaze par,
Ki aaj mere jaane ka din hai,
Or meri in band aankhon mein bhi, use khud ka hi chehra nazar aaya hai...

Wednesday, 10 October 2012

Wo!!!

Dard deke vo khud hi marham lagane ki baat karte hain,
Jala ke is dil ko, pyaas bujhane ki baat karte hai,,
Kehke gaye the ki  do din  mein laut aayenge,
Do saadi beet gai hain intezaar mein,
Kabhie laut ke na aane wale,, 
AAJ waade nibhane ki baat karte hain!!!
Maasumiyat se apni, usne saare jahan ko diwana bana dia,,
Main bhi uska deewana kuch is kadar hua, ki uske masum se chahre ke peeche chuipe hue uske chal kapat wale chehre ko pehchan na saka..
Jiski chaahat mein humne khud ko hi mita dia,,
Wo hamari raakh ko paairon tale daba ke chal dia..

Tuesday, 9 October 2012

Misunderstandings I guess!!!

Aksar suna hai logon se ki insaan ke shabd bhale hi jhoot keh sakte hai,,
Par uski aankhen kabhie jhoot nahi bolti..
Kya ye wakayi mein sach hai!!!
Pata nahi, uske shabdon pe to kabhie itna aitbaar na tha mujhe,,
Lekin us din uski aankhen jo mujhse keh rahi thi, vo mujhe na jaane kyu sach laga..
Mujhe nahi pata uske dil mein mere lie us waqt kya tha..
Wo ek chalawa tha ya wo sach mein jo keh raha tha uska koi matlab tha..
Mujhe kuch nahi pata tha..
Bas ek cheez dikh rahi thi mujhe uski aankhon mein or vo thi sacchai..
Aaj hum contact mein nahi hai,, Or ye maine hi decide kia tha bina usse puche..
Kyunki maine usse puchna zaroori nahi samjha'
Main hamesha se asi hi hun zyaada sochtu nahi, Bas kar deti hun jo theek lagta hai..

Jo bhi tha accha tha, ab bhi sab accha hai..
Bas aaj pata nahi kyu uski yunhi yaad aa gai..

I know use ye baat kabhie pata nahi chalegi and I m sure ki vo mujhe kabhie yaad bhi nahi karta hoga..
We were good friends once, i only miss this thing..

N i cant deny the fact, That I MISS HIM as well..
Mr.Bsy 

Monday, 8 October 2012

Nanhi Parii..

Nanhe nahe paairon se wo dheere dheere chalke aati hai
Pyaari si apni muskaan se sabke dil ko behlati hai,
Papa ki vo laadli hai,
Mummy ko vo satati hai..
Sabke dil mein apni baton se wo yunhi jagah banati hai..
Uski  aankhen jaise chanchalta ki murat hai,,
Bas  apni isi masumiyat se vo sabki chaheti ban jaati hai..

Sunday, 7 October 2012

The PINK City!!!

Been to out of Home Town for the first time...
Off course except Delhi..
Nice Experience..
Aaj relly mein pata chala ki kitna competetion hai for getting a job..

Wednesday, 3 October 2012

YOu...

Tujhe khud se dur to kar dia humne,
Teri har khushi ko gam mein badal dia humne..
Par yahi sahi lag raha hai ab kyunki mujhe itna aitbaar nahi hai khud pe,
Ki main tera saath aage de paungi ya nahi..
Or tab dur hone se to yahi accha hai ki hum abhi dur ho gaye..


Par main jitna bhi tujhse dur chali jaun, teri yaadein mera peecha hi nahi chodti,,
Bina wajah hi teri har baat yaad aati rehti hai
Har pal is dil ko tadpati rehti hai,.
Dont know what to do!!!